Aim English Raipur se seekho functional grammar aur daily-use English sentences. Confidence aur fluency ke liye practical tips aur visualization method.

English seekhne me students ek common mistake karte hain – wo traditional grammar pe zyada focus karte hain. Lekin real-life spoken English ke liye sirf rules yaad karna kaafi nahi hai. Jo zaroori hai wo hai functional grammar – jo aap rozmarra ki life me bolte waqt use karte ho.
Socho: Jab aap Hindi bolte ho, kya aap grammar rules yaad karte ho? Nahi. Phir bhi aap fluent bolte ho. English me bhi same principle apply hota hai. Agar aap sirf school-style grammar pe focus karoge, to hesitation hogi. Functional grammar aapko naturally aur confidently bolne me help karta hai.
Example:
- Traditional: Present Continuous rules
- Functional: “I am going to market.”, “She is studying.”
At Aim English Raipur, hum visualization-based learning ke saath functional grammar sikhaate hain. Roz practice aur sochne ki technique se students confident English bolna seekhte hain.